jaanti hun shahr mein ek ghar banana masala hai
jāntī huuñ shahr meñ ik ghar banānā mas.ala hai
gaañv ko apne bilaktā chhoḌ aanā mas.ala hai
zindagī kī laash kab se hī paḌī hai dar pe mere
kaun marghaT le ke jaa.e yaañ to shānā mas.ala hai
noch kar sab pankh un ke uḌ ga.e haiñ pair vaale
in parindoñ kā zamīñ par pankh paanā mas.ala hai
naap lūñgī arsh maiñ bhī sabr bas mujh ko hai karnā
kuchh mirī majbūriyoñ kā aaj maanā mas.ala hai
us ne apne rañg se jab rañg dī hai ruuh merī
kyoñ hathelī kī hinā kā phir jamānā mas.ala hai
thā sukūñ dil ko 'hayā' kachchī likhā.ī meñ hī pahle
ab to pakkī maiñ bhī us kā chain paanā mas.ala hai
jaanti hun shahr mein ek ghar banana masala hai
ganw ko apne bilakta chhoD aana masala hai
zindagi ki lash kab se hi paDi hai dar pe mere
kaun marghaT le ke jae yan to shana masala hai
noch kar sab pankh un ke uD gae hain pair wale
in parindon ka zamin par pankh pana masala hai
nap lungi arsh main bhi sabr bas mujh ko hai karna
kuchh meri majburiyon ka aaj mana masala hai
us ne apne rang se jab rang di hai ruh meri
kyon hatheli ki hina ka phir jamana masala hai
tha sukun dil ko 'haya' kachchi likhai mein hi pahle
ab to pakki main bhi us ka chain pana masala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.