jata hai kahin KHun se nisbat ka asar bhi
jaatā hai kahīñ ḳhuun se nisbat kā asar bhī
talvār jo bolegī to le jā.egī sar bhī
pahle thā bahut fāsla bāzār se ghar kā
ab ek hī kamre meñ hai bāzār bhī ghar bhī
dekheñ to nazar aatī hai sad-rang ye duniyā
barteñ to huī jaatī hai be-rang nazar bhī
is shahr meñ ashkoñ kā likhā kaun paḌhegā
jab ḳhuun uchhaltā hai to bantī hai ḳhabar bhī
ye soch ke ham ne kabhī jugnū nahīñ pakḌe
niklegā añdhere se abhī nūr-e-sahar bhī
kyoñ haq kī sadā aatī nahīñ bāñg-e-darā se
ai ḳhvāhish-e-sad-rang zarā dekh idhar bhī
har shaḳhs liye gard-e-safar ghuum rahā hai
ik khel sā lagtā hai 'ziyā' ab to safar bhī
jata hai kahin KHun se nisbat ka asar bhi
talwar jo bolegi to le jaegi sar bhi
pahle tha bahut fasla bazar se ghar ka
ab ek hi kamre mein hai bazar bhi ghar bhi
dekhen to nazar aati hai sad-rang ye duniya
barten to hui jati hai be-rang nazar bhi
is shahr mein ashkon ka likha kaun paDhega
jab KHun uchhalta hai to banti hai KHabar bhi
ye soch ke hum ne kabhi jugnu nahin pakDe
niklega andhere se abhi nur-e-sahar bhi
kyon haq ki sada aati nahin bang-e-dara se
ai KHwahish-e-sad-rang zara dekh idhar bhi
har shaKHs liye gard-e-safar ghum raha hai
ek khel sa lagta hai 'ziya' ab to safar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.