jate hi ho gar KHwah-naKHwah
jaate hī ho gar ḳhvāh-naḳhvāh
fabihā behtar bismillāh
yak shab dekhī jin ne vo zulf
lākhoñ dekhe roz-e-siyāh
itnī to mat ho jald nasīm
ham bhī chaman tak haiñ ham-rāh
dushman rahveñ baada baġhair
tā hai ḳhirqa aur kulāh
kauñde hai dil par barq sī aaj
pesh-e-nazar hai kis kī nigāh
va.ada kar ke raat kā tum
ḳhuub hī aa.e vaah jī vaah
'qā.em' se koī ho hai ḳhafā
banda, ḳhādim, daulat-ḳhvāh
jate hi ho gar KHwah-naKHwah
fabiha behtar bismillah
yak shab dekhi jin ne wo zulf
lakhon dekhe roz-e-siyah
itni to mat ho jald nasim
hum bhi chaman tak hain ham-rah
dushman rahwen baada baghair
ta hai KHirqa aur kulah
kaunde hai dil par barq si aaj
pesh-e-nazar hai kis ki nigah
wada kar ke raat ka tum
KHub hi aae wah ji wah
'qaem' se koi ho hai KHafa
banda, KHadim, daulat-KHwah
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.