jate-jate gale ye gham paD jata hai
jāte-jāte gale ye ġham paḌ jaatā hai
achchhā-ḳhāsā banda kam paḌ jaatā hai
nāz-o-adā se chalne vaalā kyā jaane
dil kī zamīñ pe naqsh-e-qadam paḌ jaatā hai
sunte haiñ mazlūm kī āh-o-zārī se
zālim kī taqdīr meñ ḳham paḌ jaatā hai
chāhe jitnā bhī sāmān kiyā jaa.e
kuchh na kuchh to phir bhī kam paḌ jaatā hai
shāmil ho jab tere lahje meñ talḳhī
yuuñ lagtā hai shahd meñ sam paḌ jaatā hai
chalne lagtī hai jab baat mohabbat kī
biich meñ koī ahl-e-sitam paḌ jaatā hai
jate-jate gale ye gham paD jata hai
achchha-KHasa banda kam paD jata hai
naz-o-ada se chalne wala kya jaane
dil ki zamin pe naqsh-e-qadam paD jata hai
sunte hain mazlum ki aah-o-zari se
zalim ki taqdir mein KHam paD jata hai
chahe jitna bhi saman kiya jae
kuchh na kuchh to phir bhi kam paD jata hai
shamil ho jab tere lahje mein talKHi
yun lagta hai shahd mein sam paD jata hai
chalne lagti hai jab baat mohabbat ki
bich mein koi ahl-e-sitam paD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.