jate jate wo mujhe apni nishani de gaya
jaate jaate vo mujhe apnī nishānī de gayā
zindagī-bhar ke liye āñkhoñ meñ paanī de gayā
sunte sunte dāstāñ so jā.eñge sab chāragar
ḳhatm jo hogī nahīñ aisī kahānī de gayā
sar mire siine pe us ne jab rakhā hai zindagī
is tarah dariyā-e-dil ko vo ravānī de gayā
baat bhī itnī ki bas us ne kiyā mujh ko salām
haañ magar logoñ ke dil meñ bad-gumānī de gayā
thī ġhazal merī bahut be-rabt be-kaif-o-asar
vo mire ash.ār ko alfāz-o-ma.anī de gayā
bazm meñ be-parda aayā muskurā kar sāmne
nā-tavāñ dil ko mire phir se javānī de gayā
le gayā hamrāh apne vo makāñ aur bām-o-dar
hai nazar sab kuchh magar ik be-makānī de gayā
jate jate wo mujhe apni nishani de gaya
zindagi-bhar ke liye aankhon mein pani de gaya
sunte sunte dastan so jaenge sab chaaragar
KHatm jo hogi nahin aisi kahani de gaya
sar mere sine pe us ne jab rakha hai zindagi
is tarah dariya-e-dil ko wo rawani de gaya
baat bhi itni ki bas us ne kiya mujh ko salam
han magar logon ke dil mein bad-gumani de gaya
thi ghazal meri bahut be-rabt be-kaif-o-asar
wo mere ashaar ko alfaz-o-mani de gaya
bazm mein be-parda aaya muskura kar samne
na-tawan dil ko mere phir se jawani de gaya
le gaya hamrah apne wo makan aur baam-o-dar
hai nazar sab kuchh magar ek be-makani de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.