jate jate wo ye saza dega
jaate jaate vo ye sazā degā
mujh ko jiine kī vo duā degā
maiñ khilaunā huuñ us ke hāthoñ meñ
jī bahal jā.egā bhulā degā
vaqt kī muTThiyoñ meñ kuchh bhī nahīñ
vaqt degā to ham ko kyā degā
vo to āñdhī kā ek jhoñkā hai
aa.egā aur diye bujhā degā
kal sunegā jo merā naam kahīñ
pher kar muñh vo muskurā degā
pāniyoñ par likhī kahānī huuñ
koī tūfāñ mujhe miTā degā
ḳhud hī likkhegā merā ret pe naam
ḳhud hī qadmoñ se phir miTā degā
mujh ko anjān ban ke dekhegā
aur mujhe ajnabī banā degā
sūkhe patte kī tarah tum ko 'hasan'
vaqt ḳhud shāḳh se girā degā
jate jate wo ye saza dega
mujh ko jine ki wo dua dega
main khilauna hun us ke hathon mein
ji bahal jaega bhula dega
waqt ki muTThiyon mein kuchh bhi nahin
waqt dega to hum ko kya dega
wo to aandhi ka ek jhonka hai
aaega aur diye bujha dega
kal sunega jo mera nam kahin
pher kar munh wo muskura dega
paniyon par likhi kahani hun
koi tufan mujhe miTa dega
KHud hi likkhega mera ret pe nam
KHud hi qadmon se phir miTa dega
mujh ko anjaan ban ke dekhega
aur mujhe ajnabi bana dega
sukhe patte ki tarah tum ko 'hasan'
waqt KHud shaKH se gira dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.