jati hui laDki ko sada dena chahiye
jaatī huī laḌkī ko sadā denā chāhiye
ghar ho to burā kyā hai pata denā chāhiye
hoñToñ ke gulāboñ ko churā lene se pahle
bāloñ meñ koī phuul khilā denā chāhiye
Dar hai kahīñ kamre meñ na ghus aa.e ye manzar
khiḌkī ko kahīñ aur haTā denā chāhiye
par tol ke baiThī hai magar uḌtī nahīñ hai
tasvīr se chiḌiyā ko uḌā denā chāhiye
sadiyoñ se kināre pe khaḌā suukh rahā hai
is shahr ko dariyā meñ girā denā chāhiye
marne meñ mazā hai magar itnā to nahīñ hai
'alvī' tumheñ qātil ko du'ā denā chāhiye
jati hui laDki ko sada dena chahiye
ghar ho to bura kya hai pata dena chahiye
honTon ke gulabon ko chura lene se pahle
baalon mein koi phul khila dena chahiye
Dar hai kahin kamre mein na ghus aae ye manzar
khiDki ko kahin aur haTa dena chahiye
par tol ke baiThi hai magar uDti nahin hai
taswir se chiDiya ko uDa dena chahiye
sadiyon se kinare pe khaDa sukh raha hai
is shahr ko dariya mein gira dena chahiye
marne mein maza hai magar itna to nahin hai
'alwi' tumhein qatil ko du'a dena chahiye
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 65)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.