jaun kahan hai panw mein zanjir kya kahun
jā.ūñ kahāñ hai paañv meñ zanjīr kyā kahūñ
be-rang dhuup se huī tasvīr kyā kahūñ
apnā lahū pilānā paḌā iiñT iiñT meñ
kaise huī makān kī ta.amīr kyā kahūñ
is mas.ale pe aap bhī kuchh ġhaur kījiye
kyoñ aadmī kī ghaT ga.ī tauqīr kyā kahūñ
zinda jalā rahā hai mujhe zindagī kā karb
kis tīrgī meñ kho ga.ī tanvīr kyā kahūñ
ātish-fishān zaḳhm-e-zabāñ ban gayā hai ḳhud
kis ne likhī hai ḳhuun se tahrīr kyā kahūñ
jaun kahan hai panw mein zanjir kya kahun
be-rang dhup se hui taswir kya kahun
apna lahu pilana paDa inT inT mein
kaise hui makan ki tamir kya kahun
is masale pe aap bhi kuchh ghaur kijiye
kyon aadmi ki ghaT gai tauqir kya kahun
zinda jala raha hai mujhe zindagi ka karb
kis tirgi mein kho gai tanwir kya kahun
aatish-fishan zaKHm-e-zaban ban gaya hai KHud
kis ne likhi hai KHun se tahrir kya kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.