jaun kya munh le ke main wo bad-guman ho jaega
jā.ūñ kyā muñh le ke maiñ vo bad-gumāñ ho jā.egā
rañg ke uḌne se ishq us par ayaañ ho jā.egā
aish-e-bazm-e-be-ḳhudī josh-e-fuġhāñ ho jā.egā
ham kahāñ hoñge jo rāz-e-ġham ayaañ ho jā.egā
dūsrā aalam bane to ho sake taskīn-e-husn
ab hai jitnā ye to sarf-e-imtihāñ ho jā.egā
tā-ajal pahuñchā.egī ye nā-tavānī hijr meñ
zo.af baḌhte baḌhte zor-e-nā-tavāñ ho jā.egā
merī ḳhāmoshī ko zālim jor-e-be-jā se na chheḌ
varna zabt-e-dil tirī zid se fuġhāñ ho jā.egā
shauq se ġhairoñ meñ jaa.e maiñ na hūñgā bad-gumāñ
ḳhū-e-bad se ḳhud vo apnā pāsbāñ ho jā.egā
dil-nashīñ hai ālam-e-zauq-e-asīrī kā ḳhayāl
ab dil-e-sayyād apnā āshiyāñ ho jā.egā
ġham se mere ghar meñ gunjā.ish nahīñ hai aish kī
naġhma-ḳhvāñ bhī aa.egā to nauha-ḳhvāñ ho jā.egā
mausam-e-bārāñ meñ kyuuñ hai dasht kā qasd ai junūñ
āj-kal to dasht apnā hī makāñ ho jā.egā
ḳhūbi-e-guftār se samjhegā kaun us kā javāb
hashr saarā mahv-e-andāz-e-bayāñ ho jā.egā
kyā yaqīñ thā ham jo pahuñcheñge vahāñ ai josh-e-ashk
vahm apnā baḌh ke us kā pāsbāñ ho jā.egā
kah sakegā kuchh bhī ai 'rāġhib' na us ḳhāmosh se
be-dahan ke sāmne tū be-zabāñ ho jā.egā
jaun kya munh le ke main wo bad-guman ho jaega
rang ke uDne se ishq us par ayan ho jaega
aish-e-bazm-e-be-KHudi josh-e-fughan ho jaega
hum kahan honge jo raaz-e-gham ayan ho jaega
dusra aalam bane to ho sake taskin-e-husn
ab hai jitna ye to sarf-e-imtihan ho jaega
ta-ajal pahunchaegi ye na-tawani hijr mein
zoaf baDhte baDhte zor-e-na-tawan ho jaega
meri KHamoshi ko zalim jor-e-be-ja se na chheD
warna zabt-e-dil teri zid se fughan ho jaega
shauq se ghairon mein jae main na hunga bad-guman
KHu-e-bad se KHud wo apna pasban ho jaega
dil-nashin hai aalam-e-zauq-e-asiri ka KHayal
ab dil-e-sayyaad apna aashiyan ho jaega
gham se mere ghar mein gunjaish nahin hai aish ki
naghma-KHwan bhi aaega to nauha-KHwan ho jaega
mausam-e-baran mein kyun hai dasht ka qasd ai junun
aaj-kal to dasht apna hi makan ho jaega
KHubi-e-guftar se samjhega kaun us ka jawab
hashr sara mahw-e-andaz-e-bayan ho jaega
kya yaqin tha hum jo pahunchenge wahan ai josh-e-ashk
wahm apna baDh ke us ka pasban ho jaega
kah sakega kuchh bhi ai 'raghib' na us KHamosh se
be-dahan ke samne tu be-zaban ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.