jab aablon se karb ke dhaare nikal paDe
jab ābloñ se karb ke dhāre nikal paḌe
izn-e-safar ke phir se ishāre nikal paḌe
jab garm pāniyoñ se mirī guftugū huī
to barf ke badan se sharāre nikal paḌe
us vaqt apne aap kī mujh ko milī ḳhabar
jab shahr-e-gum-shuda meñ shumāre nikal paḌe
ummīd-e-bahr-e-nau meñ kabhī ġhota-zan thā maiñ
kyoñ gahre pāniyoñ se ḳhasāre nikal paḌe
ḳhauf-e-shab-e-muhīb miTāne ke vāste
sūraj ke saath chāñd sitāre nikal paḌe
raste ke pattharoñ ne hameñ jab bhī dī sadā
ham ne thakan ke bojh utāre nikal paḌe
ham ko na pā ke hādse apne maqām par
'tābish' hamārī khoj meñ saare nikal paḌe
jab aablon se karb ke dhaare nikal paDe
izn-e-safar ke phir se ishaare nikal paDe
jab garm paniyon se meri guftugu hui
to barf ke badan se sharare nikal paDe
us waqt apne aap ki mujh ko mili KHabar
jab shahr-e-gum-shuda mein shumare nikal paDe
ummid-e-bahr-e-nau mein kabhi ghota-zan tha main
kyon gahre paniyon se KHasare nikal paDe
KHauf-e-shab-e-muhib miTane ke waste
suraj ke sath chand sitare nikal paDe
raste ke pattharon ne hamein jab bhi di sada
hum ne thakan ke bojh utare nikal paDe
hum ko na pa ke hadse apne maqam par
'tabish' hamari khoj mein sare nikal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.