jab aaftab ghar pe bulaya tha sham ne
jab āftāb ghar pe bulāyā thā shaam ne
kyā kyā diye the jin ko jalāyā thā shaam ne
kyā kyā ḳhushī thī va.ada-e-māh-e-tamām kī
ghar ko bhisht-zār banāyā thā shaam ne
kyā kyā the ḳhvāb raat jo ta.abīr ho ga.e
kyā kyā diloñ meñ hashr uThāyā thā shaam ne
kyā kyā uḌī thī gardish-e-daurāñ ke dil meñ ḳhaak
jab ratjage se haath milāyā thā shaam ne
kyā kyā gumāñ mahakne lage the pas-e-ḳhayāl
jab muskurā ke jaam uThāyā thā shaam ne
kyā kyā sahar ne phuul khilā.e pas--e-shafaq
kyā kyā dayār-e-shab ko sajāyā thā shaam ne
jab aaftab ghar pe bulaya tha sham ne
kya kya diye the jin ko jalaya tha sham ne
kya kya KHushi thi wada-e-mah-e-tamam ki
ghar ko bhisht-zar banaya tha sham ne
kya kya the KHwab raat jo tabir ho gae
kya kya dilon mein hashr uThaya tha sham ne
kya kya uDi thi gardish-e-dauran ke dil mein KHak
jab ratjage se hath milaya tha sham ne
kya kya guman mahakne lage the pas-e-KHayal
jab muskura ke jam uThaya tha sham ne
kya kya sahar ne phul khilae pas--e-shafaq
kya kya dayar-e-shab ko sajaya tha sham ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.