jab aaftab ho talea sarir-e-hashmat par
jab aaftab ho talea sarir-e-hashmat par
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
jab āftāb ho tāle.a sarīr-e-hashmat par
tajallī nūr-e-ḳhudāvand kī nazar aave
va-lek dekh sake kaun bhar nazar us ko
ḳhudā ke nūr-e-jalālī se sab ko Dar aave
majāl kis kī jo har chaar chashm us ke huzūr
adab se mujre ko har ik jhukā.e sar aave
hai tujh meñ bhī to 'jahāñdār' us kī sham.a kā nuur
jo dekhe ḳhashm se to barq kar hazar aave
jab aaftab ho talea sarir-e-hashmat par
tajalli nur-e-KHudawand ki nazar aawe
wa-lek dekh sake kaun bhar nazar us ko
KHuda ke nur-e-jalali se sab ko Dar aawe
majal kis ki jo har chaar chashm us ke huzur
adab se mujre ko har ek jhukae sar aawe
hai tujh mein bhi to 'jahandar' us ki shama ka nur
jo dekhe KHashm se to barq kar hazar aawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.