jab aainon ko bhi dhundla dikhai dene laga
jab aainon ko bhi dhundla dikhai dene laga
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
jab ā.inoñ ko bhī dhuñdlā dikhā.ī dene lagā
maiñ apne aap hī apnī safā.ī dene lagā
sadā ġharīb kī aa.e kahāñ se kānoñ tak
amīr-e-shahr ko ūñchā sunā.ī dene lagā
ḳhatā ye us kī nahīñ thī sila bhalā.ī kā thā
vo jaate vaqt jo mujh ko burā.ī dene lagā
muḳhālifoñ ko mire fat.h kyoñ na hotī nasīb
mire ḳhilāf gavāhī jo bhaa.ī dene lagā
marīz-e-hijr huuñ ārām vasl se hogā
tabīb kyā mire ġham kī davā.ī dene lagā
shab-e-firāq jo tanhā.iyoñ ne tang kiyā
maiñ apne yaar ko 'faisal' duhā.ī dene lagā
jab aainon ko bhi dhundla dikhai dene laga
main apne aap hi apni safai dene laga
sada gharib ki aae kahan se kanon tak
amir-e-shahr ko uncha sunai dene laga
KHata ye us ki nahin thi sila bhalai ka tha
wo jate waqt jo mujh ko burai dene laga
muKHalifon ko mere fath kyon na hoti nasib
mere KHilaf gawahi jo bhai dene laga
mariz-e-hijr hun aaram wasl se hoga
tabib kya mere gham ki dawai dene laga
shab-e-firaq jo tanhaiyon ne tang kiya
main apne yar ko 'faisal' duhai dene laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.