jab aankh band hogi didar dekh lenge
jab aañkh band hogī dīdār dekh leñge
kab tak chhupoge ham se ai yaar dekh leñge
khiḌkī qafas kī chāhe sayyād band kar de
ham rauzan-e-qafas se gulzār dekh leñge
vaa.iz na mai-kade meñ sheḳhī baghār aa kar
saaqī alag rahegā mai-ḳhvār dekh leñge
kūche meñ un butoñ ke ai 'qadr' phir phirā kar
ham qudrat-e-ḳhudā ke asrār dekh leñge
jab aankh band hogi didar dekh lenge
kab tak chhupoge hum se ai yar dekh lenge
khiDki qafas ki chahe sayyaad band kar de
hum rauzan-e-qafas se gulzar dekh lenge
waiz na mai-kade mein sheKHi baghaar aa kar
saqi alag rahega mai-KHwar dekh lenge
kuche mein un buton ke ai 'qadr' phir phira kar
hum qudrat-e-KHuda ke asrar dekh lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.