jab aankhon mein KHwab suhane rahte hain
jab āñkhoñ meñ ḳhvāb suhāne rahte haiñ
ik ik pal meñ ka.ī zamāne rahte haiñ
saarī ḳhushiyāñ us ke paroñ meñ rahtī haiñ
jab chiḌiyā kī choñch meñ daane rahte haiñ
ranj-o-ġham kī dhuup yahāñ aa.e kaise
is bastī meñ log purāne rahte haiñ
jab zinda-dil saḌkoñ par aa jaate haiñ
har vahshat ke hosh Thikāne rahte haiñ
saarī duniyā pyaar kī maarī hai lekin
nazroñ meñ kuchh ek divāne rahte haiñ
yādoñ ke dhuñdle dhuñdle se mausam meñ
kuchh chehre jaane pahchāne rahte haiñ
merī ġhazloñ merī nazmoñ meñ yaaro
lafzoñ ke bas tāne-bāne rahte haiñ
har manzar āñkhoñ se guzartā hai phir bhī
log siyāne haiñ anjāne rahte haiñ
sirf bharam ummīd kā rakhne kī ḳhātir
rishtoñ ke sab bojh uThāne rahte haiñ
be-ghar haiñ dukh dard 'zahīn' un ke aksar
ḳhushiyoñ ke ghar aane jaane rahte haiñ
jab aankhon mein KHwab suhane rahte hain
ek ek pal mein kai zamane rahte hain
sari KHushiyan us ke paron mein rahti hain
jab chiDiya ki chonch mein dane rahte hain
ranj-o-gham ki dhup yahan aae kaise
is basti mein log purane rahte hain
jab zinda-dil saDkon par aa jate hain
har wahshat ke hosh Thikane rahte hain
sari duniya pyar ki mari hai lekin
nazron mein kuchh ek diwane rahte hain
yaadon ke dhundle dhundle se mausam mein
kuchh chehre jaane pahchane rahte hain
meri ghazlon meri nazmon mein yaro
lafzon ke bas tane-bane rahte hain
har manzar aankhon se guzarta hai phir bhi
log siyane hain anjaane rahte hain
sirf bharam ummid ka rakhne ki KHatir
rishton ke sab bojh uThane rahte hain
be-ghar hain dukh dard 'zahin' un ke aksar
KHushiyon ke ghar aane jaane rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.