jab aaya wo yan dilrubai jatane
jab aayā vo yaañ dilrubā.ī jatāne
to kyā kyā lagā ḳhush-adā.ī jatāne
dikhāne lagī zulf apnī darāzī
mizha bhī lagī kuchh rasā.ī jatāne
'nazīr' ek din us parī-rū ke aage
ga.e ham jo kuchh āshnā.ī jatāne
diyā jaam aur ham jo hichke to bolā
tum aa.e ho nafrat-fizā.ī jatāne
pilā deñge ham to miyāñ fā.eda kyā
lage tum jo yaañ pārsā.ī jatāne
jab aaya wo yan dilrubai jatane
to kya kya laga KHush-adai jatane
dikhane lagi zulf apni daraazi
mizha bhi lagi kuchh rasai jatane
'nazir' ek din us pari-ru ke aage
gae hum jo kuchh aashnai jatane
diya jam aur hum jo hichke to bola
tum aae ho nafrat-fizai jatane
pila denge hum to miyan faeda kya
lage tum jo yan parsai jatane
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.