jab achchhe the din raat kam yaad aae
jab achchhe the din raat kam yaad aa.e
burā vaqt aayā to ham yaad aa.e
jo samjho mohabbat kī tauhīn hai ye
sitam-gar se pahle sitam yaad aa.e
zamāne se jab paḌ gayā vāsta to
tirī zulf ke pech-o-ḳham yaad aa.e
milī jo mohabbat ke badle meñ nafrat
hameñ ahl-e-duniyā ke ġham yaad aa.e
hañsī aa ga.ī un kī bātoñ pe yūñhī
vo samjhe ki un ke karam yaad aa.e
jo hañs kar kisī ne kisī se kahā kuchh
hameñ bhī kisī ke sitam yaad aa.e
kabhī dil ko dil se jo dekhā bichhaḌte
'sadaf' ko tumhāre karam yaad aa.e
jab achchhe the din raat kam yaad aae
bura waqt aaya to hum yaad aae
jo samjho mohabbat ki tauhin hai ye
sitam-gar se pahle sitam yaad aae
zamane se jab paD gaya wasta to
teri zulf ke pech-o-KHam yaad aae
mili jo mohabbat ke badle mein nafrat
hamein ahl-e-duniya ke gham yaad aae
hansi aa gai un ki baaton pe yunhi
wo samjhe ki un ke karam yaad aae
jo hans kar kisi ne kisi se kaha kuchh
hamein bhi kisi ke sitam yaad aae
kabhi dil ko dil se jo dekha bichhaDte
'sadaf' ko tumhaare karam yaad aae
- Book : Badal Gai Koi Shai (Pg. 107)
- Author : Dr. Mushtaque Sadaf
- Publication : Swaraj Prakashan, New Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.