jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha
jab apne-āp ko malbūs meñ chhupāyā thā
tamām shahr ko ham ne barahna paayā thā
na apnī sub.h kī ḳhushiyāñ na apnī shaam kā ġham
hamāre paas to jo kuchh thā vo parāyā thā
talāsh kartī hai jis ko tumhārī rāhguzar
vo maiñ nahīñ thā mirī justujū kā saaya thā
vo hañs rahā thā magar ashk-e-ġham na rok sakā
zarā sī baat pe jis ne hameñ rulāyā thā
'ajīb moḌ thā tark-e-ta'alluqāt kā vo
jab apne-āp se ham ne fareb khāyā thā
dhuāñ dhuāñ thī fazā gard gard thā manzar
dhuñdalkā shaam kā jis din sahar pe chhāyā thā
jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha
tamam shahr ko hum ne barahna paya tha
na apni subh ki KHushiyan na apni sham ka gham
hamare pas to jo kuchh tha wo paraya tha
talash karti hai jis ko tumhaari rahguzar
wo main nahin tha meri justuju ka saya tha
wo hans raha tha magar ashk-e-gham na rok saka
zara si baat pe jis ne hamein rulaya tha
'ajib moD tha tark-e-ta'alluqat ka wo
jab apne-ap se hum ne fareb khaya tha
dhuan dhuan thi faza gard gard tha manzar
dhundalka sham ka jis din sahar pe chhaya tha
- Book : Rifat mere khawab ki (Pg. 10)
- Author : khurshiid sahar
- Publication : R-K- hause new millat colony secter-1 patna (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.