jab apne dil pe apna kuchh iKHtiyar dekha
jab apne dil pe apna kuchh iKHtiyar dekha
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
jab apne dil pe apnā kuchh iḳhtiyār dekhā
begāna-ḳhū hasīñ ko begāna-vār dekhā
paiham tajalliyoñ kī mujh meñ sakat kahāñ thī
nazreñ churā churā kar sūe-nigār dekhā
aaj apnī be-ḳhudī ko irfāñ kī raushnī meñ
us māh-e-sīm-tan kā ā.īna-dār dekhā
terī ināyatoñ se anjām-bīñ nazar meñ
āġhāz-e-ishq hī meñ anjām-e-kār dekhā
ye bholī bholī sūrat ai chāñd phir bhī tū ne
merī taraf se apne dil meñ ġhubār dekhā
husn-e-shabāb-parvar kis darje sehar-zā hai
dekhā tirā zamāna ai gul-e-ezār dekhā
us shoḳh kī galī meñ manzūr-e-tafta-jāñ ko
phir be-qarār paayā phir ashk-bār dekhā
jab apne dil pe apna kuchh iKHtiyar dekha
begana-KHu hasin ko begana-war dekha
paiham tajalliyon ki mujh mein sakat kahan thi
nazren chura chura kar sue-nigar dekha
aaj apni be-KHudi ko irfan ki raushni mein
us mah-e-sim-tan ka aaina-dar dekha
teri inayaton se anjam-bin nazar mein
aaghaz-e-ishq hi mein anjam-e-kar dekha
ye bholi bholi surat ai chand phir bhi tu ne
meri taraf se apne dil mein ghubar dekha
husn-e-shabab-parwar kis darje sehar-za hai
dekha tera zamana ai gul-e-ezar dekha
us shoKH ki gali mein manzur-e-tafta-jaan ko
phir be-qarar paya phir ashk-bar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.