jab apni zat ko samjha to koi Dar na raha
jab apnī zaat ko samjhā to koī Dar na rahā
jahāñ meñ koī parastār-e-ahl-e-zar na rahā
saḌak ke kāñTe ki jin par lahū ke chhīñTe haiñ
batā rahe haiñ ki ik shaḳhs raat ghar na rahā
badaltī qadroñ meñ ḳhūn-e-jigar se nāma-e-shauq
ye ḳhaas tarz-e-nigārish bhī mo'atabar na rahā
nigāh-e-nāz hai māyūs kis taraf jaa.e
vo ahl-e-dil na rahe halqa-e-asar na rahā
ḳhushī ke lamhoñ se kaif-e-davām kyā miltā
vo raqs-e-jām bhī dekhā jo raat bhar na rahā
lachak thī jin meñ vo paude to ab bhī baaqī haiñ
havā kī zad pe jo aayā vahī shajar na rahā
zarā sī der meñ manzil ko pā liyā us ne
vo jis ke sar pe kahīñ sāya-e-shajar na rahā
ḳhirad kā dil se ta.alluq na koī rishta hai
vo ham-ḳhayāl bhī kab thā jo ham-safar na rahā
jab apni zat ko samjha to koi Dar na raha
jahan mein koi parastar-e-ahl-e-zar na raha
saDak ke kanTe ki jin par lahu ke chhinTe hain
bata rahe hain ki ek shaKHs raat ghar na raha
badalti qadron mein KHun-e-jigar se nama-e-shauq
ye KHas tarz-e-nigarish bhi mo'atabar na raha
nigah-e-naz hai mayus kis taraf jae
wo ahl-e-dil na rahe halqa-e-asar na raha
KHushi ke lamhon se kaif-e-dawam kya milta
wo raqs-e-jam bhi dekha jo raat bhar na raha
lachak thi jin mein wo paude to ab bhi baqi hain
hawa ki zad pe jo aaya wahi shajar na raha
zara si der mein manzil ko pa liya us ne
wo jis ke sar pe kahin saya-e-shajar na raha
KHirad ka dil se talluq na koi rishta hai
wo ham-KHayal bhi kab tha jo ham-safar na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.