jab ba-faizan-e-junun parcham-e-zar khulte hain
jab ba-faizān-e-junūñ parcham-e-zar khulte haiñ
qufl-e-shab toḌ ke anvār-e-sahar khulte haiñ
yuuñ ubhartī hai dil-e-tār meñ ummīd kī zau
jaise zindāñ ke kabhī rauzan-o-dar khulte haiñ
ġham se miltā hai mirī fikr ko is tarah farāġh
jis tarah tā.ir-e-par-basta ke par khulte haiñ
abr barse to bayābāñ meñ mahaktī hai bahār
laakh mai-ḳhāne sar-e-rāhguzar khulte haiñ
jin ko afzā.ish-e-mantiq ne kiyā ho taḳhlīq
aise uqde bhī kahīñ ahl-e-nazar khulte haiñ
shaiḳh jī arsa-e-jalvat meñ haiñ pāband-e-rusūm
par ye ḳhalvat meñ bahut sho.abda-gar khulte haiñ
fahm-o-iblāġh koī khel nahīñ hai 'aḳhtar'
ḳhūn-e-dil dene se asrār-e-hunar khulte haiñ
jab ba-faizan-e-junun parcham-e-zar khulte hain
qufl-e-shab toD ke anwar-e-sahar khulte hain
yun ubharti hai dil-e-tar mein ummid ki zau
jaise zindan ke kabhi rauzan-o-dar khulte hain
gham se milta hai meri fikr ko is tarah faragh
jis tarah tair-e-par-basta ke par khulte hain
abr barse to bayaban mein mahakti hai bahaar
lakh mai-KHane sar-e-rahguzar khulte hain
jin ko afzaish-e-mantiq ne kiya ho taKHliq
aise uqde bhi kahin ahl-e-nazar khulte hain
shaiKH ji arsa-e-jalwat mein hain paband-e-rusum
par ye KHalwat mein bahut shoabda-gar khulte hain
fahm-o-iblagh koi khel nahin hai 'aKHtar'
KHun-e-dil dene se asrar-e-hunar khulte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.