jab baDhenge ba-qasd-e-yakjai
jab baḌheñge ba-qasd-e-yakjā.ī
ham jabhī ban sakeñge ikkā.ī
raushnī jā chhupī hai āñkhoñ meñ
tīrgī qalb meñ utar aa.ī
aap se kaun māñgtā hai javāb
karte rahiye qayās-ārā.ī
aaj had se sivā hai bechainī
uf re ehsās-e-dard-e-tanhā.ī
umr bhar moḌ moḌ saath diyā
ai ḳhud-āgāh yād-e-rusvā.ī
yaad hai ḳhizr-e-vaqt jab ham ko
har sadā thī sadā-e-shahnā.ī
log socheñge tujh ko tere baad
naap har zaḳhm-e-dil kī gahrā.ī
ab kahāñ tujh ko DhūñDne jaa.eñ
ho chukī ham se arsh-paimā.ī
jaane kyoñ ye ḳhayāl aatā hai
tum tamāsha ho ham tamāshā.ī
jaise āvāra-gard ham haiñ 'shamīm'
haiñ usī tarah aap sahrā.ī
jab baDhenge ba-qasd-e-yakjai
hum jabhi ban sakenge ikkai
raushni ja chhupi hai aankhon mein
tirgi qalb mein utar aai
aap se kaun mangta hai jawab
karte rahiye qayas-arai
aaj had se siwa hai bechaini
uf re ehsas-e-dard-e-tanhai
umr bhar moD moD sath diya
ai KHud-agah yaad-e-ruswai
yaad hai KHizr-e-waqt jab hum ko
har sada thi sada-e-shahnai
log sochenge tujh ko tere baad
nap har zaKHm-e-dil ki gahrai
ab kahan tujh ko DhunDne jaen
ho chuki hum se arsh-paimai
jaane kyon ye KHayal aata hai
tum tamasha ho hum tamashai
jaise aawara-gard hum hain 'shamim'
hain usi tarah aap sahrai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.