jab bahaya hi nahin aankh se pani maine
jab bahāyā hī nahīñ aañkh se paanī maiñ ne
ek hī lafz meñ likh dī hai kahānī maiñ ne
zabt tūfān kā TuuTā na kabhī siine meñ
rok rakkhī hai samundar kī ravānī maiñ ne
shabd be-ḳhauf kitāboñ meñ utāre maiñ ne
phir kitāboñ pe jamī ḳhaak bhī chhānī maiñ ne
mujh ko vijdān thā sailāb ne to aanā hai
dekh lī ḳhvāb meñ is shaam nishānī maiñ ne
ārzūoñ ne mire dil meñ tabāhī kar dī
phir kisī chaah kī ummīd na Thānī maiñ ne
tū ne samjhā thā mujhe aaj bhī pāgal huuñ vahī
'ādateñ chhoḌ diiñ jitnī thī purānī maiñ ne
kyā batā.ūñ maiñ use 'umr-e-gurezāñ se 'umūd'
siikh lī dasht meñ ab ḳhaak uḌānī maiñ ne
jab bahaya hi nahin aankh se pani main ne
ek hi lafz mein likh di hai kahani main ne
zabt tufan ka TuTa na kabhi sine mein
rok rakkhi hai samundar ki rawani main ne
shabd be-KHauf kitabon mein utare main ne
phir kitabon pe jami KHak bhi chhani main ne
mujh ko wijdan tha sailab ne to aana hai
dekh li KHwab mein is sham nishani main ne
aarzuon ne mere dil mein tabahi kar di
phir kisi chah ki ummid na Thani main ne
tu ne samjha tha mujhe aaj bhi pagal hun wahi
'adaten chhoD din jitni thi purani main ne
kya bataun main use 'umr-e-gurezan se 'umud'
sikh li dasht mein ab KHak uDani main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.