jab bhi aankhon mein tere wasl ka lamha chamka
jab bhī āñkhoñ meñ tire vasl kā lamha chamkā
chashm-e-be-āb kī dahlīz pe dariyā chamkā
fasl-e-gul aa.ī khule baaġh meñ ḳhushbū ke alam
dil ke sāhil pe tire naam kā taarā chamkā
'aks be-naqsh hue aa.ine dhundlāne lage
dard kā chāñd sar-e-bām-e-tamannā chamkā
rañg āzād hue gul kī girah khulte hī
ek lamhe meñ 'ajab baaġh kā chehrā chamkā
pairahan meñ bhī tirā husn na thā hashr se kam
jab khule band-e-qabā aur hī naqsha chamkā
dil kī dīvār pe uḌte rahe malbūs ke rañg
der tak un meñ tirī yaad kā saayā chamkā
ruuh kī aañkh chakā-chauñd huī jaatī hai
kis kī aahaT kā mire kaan meñ naġhma chamkā
lahreñ uTh uTh ke magar us kā badan chūmtī thiiñ
vo jo paanī meñ gayā ḳhuub hī dariyā chamkā
hijr panpā na tirā vasl hameñ raas aayā
kisī maidān meñ taarā na hamārā chamkā
jaise bārish se dhule sehn-e-gulistāñ 'amjad'
aañkh jab ḳhushk huī aur vo chehrā chamkā
jab bhi aankhon mein tere wasl ka lamha chamka
chashm-e-be-ab ki dahliz pe dariya chamka
fasl-e-gul aai khule bagh mein KHushbu ke alam
dil ke sahil pe tere nam ka tara chamka
'aks be-naqsh hue aaine dhundlane lage
dard ka chand sar-e-baam-e-tamanna chamka
rang aazad hue gul ki girah khulte hi
ek lamhe mein 'ajab bagh ka chehra chamka
pairahan mein bhi tera husn na tha hashr se kam
jab khule band-e-qaba aur hi naqsha chamka
dil ki diwar pe uDte rahe malbus ke rang
der tak un mein teri yaad ka saya chamka
ruh ki aankh chaka-chaund hui jati hai
kis ki aahaT ka mere kan mein naghma chamka
lahren uTh uTh ke magar us ka badan chumti thin
wo jo pani mein gaya KHub hi dariya chamka
hijr panpa na tera wasl hamein ras aaya
kisi maidan mein tara na hamara chamka
jaise barish se dhule sehn-e-gulistan 'amjad'
aankh jab KHushk hui aur wo chehra chamka
- Book : naquush (Pg. 273)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.