jab bhi aaine saf hote hain
jab bhī ā.īne saaf hote haiñ
kuchh na.e inkishāf hote haiñ
be-gunāhī hī jurm ho jin kā
log vo kab muaaf hote haiñ
raqs kartī hai bandagī vaa.iz
ham jo mahv-e-tavāf hote haiñ
saarī duniyā ḳhilāf lagtī hai
jab vo mere ḳhilāf hote haiñ
ab chhupāne kī bhī zarūrat kyā
ab to chehre ġhilāf hote haiñ
kuchh to nazreñ jhukāo ai 'merāj'
yuuñ kahīñ e'tirāf hote haiñ
jab bhi aaine saf hote hain
kuchh nae inkishaf hote hain
be-gunahi hi jurm ho jin ka
log wo kab muaf hote hain
raqs karti hai bandagi waiz
hum jo mahw-e-tawaf hote hain
sari duniya KHilaf lagti hai
jab wo mere KHilaf hote hain
ab chhupane ki bhi zarurat kya
ab to chehre ghilaf hote hain
kuchh to nazren jhukao ai 'meraj'
yun kahin e'tiraf hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.