jab bhī āñkhoñ meñ ashk bhar aa.e
log kuchh Dūbte nazar aa.e
apnā mehvar badal chukī thī zamīñ
ham ḳhalā se jo lauT kar aa.e
chāñd jitne bhī gum hue shab ke
sab ke ilzām mere sar aa.e
chand lamhe jo lauT kar aa.e
raat ke āḳhirī pahar aa.e
ek golī ga.ī thī sū-e-falak
ik parinde ke bāl-o-par aa.e
kuchh charāġhoñ kī saañs TuuT ga.ī
kuchh ba-mushkil dam-e-sahar aa.e
mujh ko apnā patā-Thikāna mile
vo bhī ik baar mere ghar aa.e
jab bhi aankhon mein ashk bhar aae
log kuchh Dubte nazar aae
apna mehwar badal chuki thi zamin
hum KHala se jo lauT kar aae
chand jitne bhi gum hue shab ke
sab ke ilzam mere sar aae
chand lamhe jo lauT kar aae
raat ke aaKHiri pahar aae
ek goli gai thi su-e-falak
ek parinde ke baal-o-par aae
kuchh charaghon ki sans TuT gai
kuchh ba-mushkil dam-e-sahar aae
mujh ko apna pata-Thikana mile
wo bhi ek bar mere ghar aae
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 185)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.