jab bhi aankhon mein teri ruKHsat ka manzar aa gaya
jab bhi aankhon mein teri ruKHsat ka manzar aa gaya
Ahmad Nadeem Qasmi
MORE BYAhmad Nadeem Qasmi
jab bhī āñkhoñ meñ tirī ruḳhsat kā manzar aa gayā
āftāb-e-vaqt neze ke barābar aa gayā
dostī kī jab duhā.ī dī to sharq-o-ġharb se
haath meñ patthar liye yāroñ kā lashkar aa gayā
is safar meñ go tamāzat to bahut thī hijr kī
maiñ tirī yādoñ kī chhāñv sar pe le kar aa gayā
go zamīn-o-āsmāñ masrūf-e-gardish haiñ magar
jab bhī gardish kā sabab sochā to chakkar aa gayā
aadmī ko hashr ke manzar nazar aane lage
us ke qabze meñ jab ik zarre kā jauhar aa gayā
husn-e-insāñ dafn ho jaane se miTtā hai kahāñ
phuul ban kar ḳhaak ke parde se bāhar aa gayā
ashk jab Tapke kisī bekas kī āñkhoñ se 'nadīm'
yuuñ lagā tūfān kī zad meñ samundar aa gayā
jab bhi aankhon mein teri ruKHsat ka manzar aa gaya
aaftab-e-waqt neze ke barabar aa gaya
dosti ki jab duhai di to sharq-o-gharb se
hath mein patthar liye yaron ka lashkar aa gaya
is safar mein go tamazat to bahut thi hijr ki
main teri yaadon ki chhanw sar pe le kar aa gaya
go zamin-o-asman masruf-e-gardish hain magar
jab bhi gardish ka sabab socha to chakkar aa gaya
aadmi ko hashr ke manzar nazar aane lage
us ke qabze mein jab ek zarre ka jauhar aa gaya
husn-e-insan dafn ho jaane se miTta hai kahan
phul ban kar KHak ke parde se bahar aa gaya
ashk jab Tapke kisi bekas ki aankhon se 'nadim'
yun laga tufan ki zad mein samundar aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.