jab bhi aansu gira tha kaghaz par
jab bhī aañsū girā thā kāġhaz par
raushnī kā diyā thā kāġhaz par
merī āñkheñ tavāf kartī thiiñ
dil kisī kā rakhā thā kāġhaz par
bhar gayā raushnī se ghar merā
naam kis kā likhā thā kāġhaz par
marne jiine kī khaa.ī thiiñ qasmeñ
maiñ ne ye bhī paḌhā thā kāġhaz par
pyaas kī ban ke aa ga.ī tasvīr
maiñ ne dariyā likhā thā kāġhaz par
yuuñ lagā merī aañkh kā aañsū
jaise sūraj rakhā thā kāġhaz par
us ne lamhe likhe the furqat ke
dil madīna banā thā kāġhaz par
lafz ash.ār hijr kī bāteñ
dard kā marsiya thā kāġhaz par
aañkh se gir ke ban ga.e motī
karbalā likh diyā thā kāġhaz par
jab bhi aansu gira tha kaghaz par
raushni ka diya tha kaghaz par
meri aankhen tawaf karti thin
dil kisi ka rakha tha kaghaz par
bhar gaya raushni se ghar mera
nam kis ka likha tha kaghaz par
marne jine ki khai thin qasmen
main ne ye bhi paDha tha kaghaz par
pyas ki ban ke aa gai taswir
main ne dariya likha tha kaghaz par
yun laga meri aankh ka aansu
jaise suraj rakha tha kaghaz par
us ne lamhe likhe the furqat ke
dil madina bana tha kaghaz par
lafz ashaar hijr ki baaten
dard ka marsiya tha kaghaz par
aankh se gir ke ban gae moti
karbala likh diya tha kaghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.