jab bhi aap mujhe yaad aae
jab bhī aap mujhe yaad aa.e
phuul nigāhoñ meñ lahrā.e
aap mile to aañkh bhar aa.ī
aap ga.e to ġham ghar aa.e
dīvānoñ kī baat hī kyā hai
ek hañsā.e ek rulā.e
dil ko phir bhī chain na aayā
ham ne yūñhī ġham apnā.e
aisā vaqt bhī aayā aksar
apnī bātoñ se sharmā.e
jab bhi aap mujhe yaad aae
phul nigahon mein lahrae
aap mile to aankh bhar aai
aap gae to gham ghar aae
diwanon ki baat hi kya hai
ek hansae ek rulae
dil ko phir bhi chain na aaya
hum ne yunhi gham apnae
aisa waqt bhi aaya aksar
apni baaton se sharmae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.