jab bhi aata hai mera nam tere nam ke baad
jab bhī aatā hai mirā naam tire naam ke baa'd
log tūfān uThā lete haiñ ilzām ke baa'd
aql hairān hai us shaḳhs kī dānā.ī par
jis ne toḌe ka.ī asnām haiñ asnām ke baa'd
din guzar jaatā hai hangāma-e-duniyā meñ magar
chain aatā hai kahāñ mujh ko sar-e-shām ke baa'd
jo abhī shohrat o daulat meñ huā hai andhā
hosh meñ aa.egā lekin bure anjām ke baa'd
log rakhte haiñ ta.alluq bhī ġharaz se apnī
ruḳh badal lete haiñ mausam kī tarah kaam ke baa'd
shaam ke baa'd huī sub.h to jaanā ham ne
miltī ḳhushiyāñ haiñ magar gardish-e-ayyām ke baa'd
saath denā thā abhī 'nasr' kā kuchh der talak
uTh ga.e aap bhī maiḳhāne se do jaam ke baa'd
jab bhi aata hai mera nam tere nam ke ba'd
log tufan uTha lete hain ilzam ke ba'd
aql hairan hai us shaKHs ki danai par
jis ne toDe kai asnam hain asnam ke ba'd
din guzar jata hai hangama-e-duniya mein magar
chain aata hai kahan mujh ko sar-e-sham ke ba'd
jo abhi shohrat o daulat mein hua hai andha
hosh mein aaega lekin bure anjam ke ba'd
log rakhte hain talluq bhi gharaz se apni
ruKH badal lete hain mausam ki tarah kaam ke ba'd
sham ke ba'd hui subh to jaana hum ne
milti KHushiyan hain magar gardish-e-ayyam ke ba'd
sath dena tha abhi 'nasr' ka kuchh der talak
uTh gae aap bhi maiKHane se do jam ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.