jab bhi aati hai teri yaad kabhi sham ke baad
jab bhī aatī hai tirī yaad kabhī shaam ke ba.ad
aur baḌh jaatī hai afsurda-dilī shaam ke ba.ad
ab irādoñ pe bharosa hai na tauba pe yaqīñ
mujh ko le jaa.e kahāñ tishna-labī shaam ke ba.ad
yuuñ to har lamha tirī yaad kā bojhal guzrā
dil ko mahsūs huī terī kamī shaam ke ba.ad
yuuñ to kuchh shaam se pahle bhī udāsī thī 'adīb'
ab to kuchh aur baḌhī dil kī lagī shaam ke ba.ad
jab bhi aati hai teri yaad kabhi sham ke baad
aur baDh jati hai afsurda-dili sham ke baad
ab iradon pe bharosa hai na tauba pe yaqin
mujh ko le jae kahan tishna-labi sham ke baad
yun to har lamha teri yaad ka bojhal guzra
dil ko mahsus hui teri kami sham ke baad
yun to kuchh sham se pahle bhi udasi thi 'adib'
ab to kuchh aur baDhi dil ki lagi sham ke baad
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 403)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.