jab bhi arman tere KHwab se juD jate hain
jab bhī armān tire ḳhvāb se juḌ jaate haiñ
sūkhte zaḳhm bhī zardāb se juḌ jaate haiñ
nāḳhudā kaise bachā.egā kisī kashtī ko
ḳhud kināre hī jo girdāb se juḌ jaate haiñ
ashk bahte haiñ nadāmat ke jo tārīkī meñ
besh-qīmat dur-e-nāyāb se juḌ jaate haiñ
ahl-e-‘irfāñ kī rifāqat se muqaddar chamke
ham se darvesh bhī alqāb se juḌ jaate haiñ
chāñd par baiTh ke likhte haiñ ġhazal jānāñ par
jab bhī arbāb-e-suḳhan ḳhvāb se juḌ jaate haiñ
yaad aatā hai jo pal bhar ko use kyā mā'lūm
kitne sadme dil-e-betāb se juḌ jaate haiñ
shā'irī siikh liyā karte haiñ tuk-band ka.ī
jab bhī vo mahfil-e-'shādāb' se juḌ jaate haiñ
jab bhi arman tere KHwab se juD jate hain
sukhte zaKHm bhi zardab se juD jate hain
naKHuda kaise bachaega kisi kashti ko
KHud kinare hi jo girdab se juD jate hain
ashk bahte hain nadamat ke jo tariki mein
besh-qimat dur-e-nayab se juD jate hain
ahl-e-‘irfan ki rifaqat se muqaddar chamke
hum se darwesh bhi alqab se juD jate hain
chand par baiTh ke likhte hain ghazal jaanan par
jab bhi arbab-e-suKHan KHwab se juD jate hain
yaad aata hai jo pal bhar ko use kya ma'lum
kitne sadme dil-e-betab se juD jate hain
sha'iri sikh liya karte hain tuk-band kai
jab bhi wo mahfil-e-'shadab' se juD jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.