jab bhi baadal barish lae shauq-jaziron se
jab bhī bādal bārish laa.e shauq-jazīroñ se
ḳhosha ḳhosha harf kī beleñ bhar ga.iiñ hīroñ se
tum se mile to shahr-e-tamannā kitnā phail gayā
kyā kyā ḳhvāb na.e tāmīr hue tābīroñ se
āñkheñ rañgoñ kī barsāteñ tak tak jhiil huiiñ
dil ne kyā kyā aks kashīd kiye tasvīroñ se
us ko chhūne kī ḳhvāhish ne haath baḌhā.e to
phan phailā.e nikle kitne saañp lakīroñ se
'ālī' dānish kī bastī meñ ab sardār vahī
DhūñD nikāle kuchh andhiyāre jo tanvīroñ se
jab bhi baadal barish lae shauq-jaziron se
KHosha KHosha harf ki belen bhar gain hiron se
tum se mile to shahr-e-tamanna kitna phail gaya
kya kya KHwab nae tamir hue tabiron se
aankhen rangon ki barsaten tak tak jhil huin
dil ne kya kya aks kashid kiye taswiron se
us ko chhune ki KHwahish ne hath baDhae to
phan phailae nikle kitne sanp lakiron se
'ali' danish ki basti mein ab sardar wahi
DhunD nikale kuchh andhiyare jo tanwiron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.