jab bhi barish meri aaankhon mein utar jati hai
jab bhī bārish merī ā.ankhoñ meñ utar jaatī hai
bādaloñ meñ tirī tasvīr ubhar jaatī hai
Dūbnā jin ko ho maqsūd vo kab sochte haiñ
mauj kis samt se aatī hai kidhar jaatī hai
mere ehsās kī bīnā.ī hai ḳhushbū us kī
aag ban kar merī rag rag meñ utar jaatī hai
din vahī din hai jo biite tirī ummīd ke saath
shab vahī shab jo tire saath guzar jaatī hai
kaisī dīvār uThā dī mire ham-sā.e ne
ab sadā aatī hai koī na udhar jaatī hai
apne atrāf añdheroñ ko basā.e rakhiye
raushnī in se zarā aur nikhar jaatī hai
jab bhi barish meri aaankhon mein utar jati hai
baadalon mein teri taswir ubhar jati hai
Dubna jin ko ho maqsud wo kab sochte hain
mauj kis samt se aati hai kidhar jati hai
mere ehsas ki binai hai KHushbu us ki
aag ban kar meri rag rag mein utar jati hai
din wahi din hai jo bite teri ummid ke sath
shab wahi shab jo tere sath guzar jati hai
kaisi diwar uTha di mere ham-sae ne
ab sada aati hai koi na udhar jati hai
apne atraf andheron ko basae rakhiye
raushni in se zara aur nikhar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.