jab bhi chali hai teri baat
jab bhī chalī hai terī baat
hoñToñ par machle naġhmāt
chāñd khile jab rātoñ meñ
aa.e yādoñ kī bārāt
maanā terā saath nahīñ
lekin ġham hai apne saath
rut bhī nahīñ ye sāvan kī
dāman dāman hai barsāt
jis insāñ ne himmat kī
badle haiñ us ke hālāt
jab bhi chali hai teri baat
honTon par machle naghmat
chand khile jab raaton mein
aae yaadon ki baraat
mana tera sath nahin
lekin gham hai apne sath
rut bhi nahin ye sawan ki
daman daman hai barsat
jis insan ne himmat ki
badle hain us ke haalat
- Book : Apna to mile koi (Pg. 85)
- Author : Devmani Pandey
- Publication : Amrit parkashan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.