jab bhi dar-o-rasan ki baat karo
jab bhī dār-o-rasan kī baat karo
ek ujle kafan kī baat karo
chhoḌo ab qissa-hā-e-ahd-e-kuhan
kuchh sharāb-e-kuhan kī baat karo
kisī mar-mar ke jism kā ho zikr
nahīñ dil kī badan kī baat karo
ahl-e-ālam kī fikr ho kab tak
ab kuchh ahl-e-vatan kī baat karo
zikr-e-mahtāb ho to kyā hai zarūr
us kī ik-ik kiran kī baat karo
ab samajhtā hai kaun ḳhaar hai kyā
sirf us kī chubhan kī baat karo
ham taḳhallus ke bhī nahīñ qaa.il
kisī ahl-e-suḳhan kī baat karo
jab bhi dar-o-rasan ki baat karo
ek ujle kafan ki baat karo
chhoDo ab qissa-ha-e-ahd-e-kuhan
kuchh sharab-e-kuhan ki baat karo
kisi mar-mar ke jism ka ho zikr
nahin dil ki badan ki baat karo
ahl-e-alam ki fikr ho kab tak
ab kuchh ahl-e-watan ki baat karo
zikr-e-mahtab ho to kya hai zarur
us ki ik-ik kiran ki baat karo
ab samajhta hai kaun KHar hai kya
sirf us ki chubhan ki baat karo
hum taKHallus ke bhi nahin qail
kisi ahl-e-suKHan ki baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.