jab bhi gulzar se lahu nikla
jab bhī gulzār se lahū niklā
us kī takrār se lahū niklā
dekhte hī mire janāze ko
chashm-e-aġhyār se lahū niklā
jab lagā mujh pe ishq kā bohtān
mere kirdār se lahū niklā
muddatoñ baad diary kholī
sabhī ash.ār se lahū niklā
būḌhā hote hī uḌ ga.e panchhī
aur ashjār se lahū niklā
marne par us sharīr laḌkī ke
yaar aḳhbār se lahū niklā
dekh kar terī yaad meñ rotā
aaj dīvār se lahū niklā
ulfateñ dekh kar 'alī' un kī
mere inkār se lahū niklā
jab bhi gulzar se lahu nikla
us ki takrar se lahu nikla
dekhte hi mere janaze ko
chashm-e-aghyar se lahu nikla
jab laga mujh pe ishq ka bohtan
mere kirdar se lahu nikla
muddaton baad diary kholi
sabhi ashaar se lahu nikla
buDha hote hi uD gae panchhi
aur ashjar se lahu nikla
marne par us sharir laDki ke
yar aKHbar se lahu nikla
dekh kar teri yaad mein rota
aaj diwar se lahu nikla
ulfaten dekh kar 'ali' un ki
mere inkar se lahu nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.