jab bhi guzre hue lamhat ko dohraate hain
jab bhī guzre hue lamhāt ko dohrāte haiñ
ham ḳhud apne hī ḳhayāloñ meñ ulajh jaate haiñ
bhiiḌ itnī hai ki nazreñ nahīñ jamne pātīñ
aur manzar haiñ ki tezī se badal jaate haiñ
kuchh dinoñ se jo ye chāhā hai ki manzil na mile
merī samt aate hue hādse katrāte haiñ
is rivāyat se bahut jī kā ziyāñ hotā hai
ab to ham pursish-e-ahvāl se ghabrāte haiñ
ḳhud se uktā.e hue bazm se katrā.e hue
ab mire saath ka.ī log nazar aate haiñ
jo bhī rakhte haiñ yahāñ quvvat-e-iz.hār-e-numū
biij vo saḳht chaTānoñ pe bhī jam jaate haiñ
kabhī tanhā nahīñ aate haiñ purāne lamhe
kitne hī phūloñ kī ham-rāh mahak laate haiñ
jab bhi guzre hue lamhat ko dohraate hain
hum KHud apne hi KHayalon mein ulajh jate hain
bhiD itni hai ki nazren nahin jamne patin
aur manzar hain ki tezi se badal jate hain
kuchh dinon se jo ye chaha hai ki manzil na mile
meri samt aate hue hadse katraate hain
is riwayat se bahut ji ka ziyan hota hai
ab to hum pursish-e-ahwal se ghabraate hain
KHud se uktae hue bazm se katrae hue
ab mere sath kai log nazar aate hain
jo bhi rakhte hain yahan quwwat-e-izhaar-e-numu
bij wo saKHt chaTanon pe bhi jam jate hain
kabhi tanha nahin aate hain purane lamhe
kitne hi phulon ki ham-rah mahak late hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.