jab bhi ho mujhko thakan tumko dua deti hun
jab bhī ho mujh ko thakan tum ko duā detī huuñ
ghar ke kāmoñ meñ magan tum ko duā detī huuñ
aisā lagtā hai mohabbat kā ḳhudā hai us meñ
dekhtī huuñ jo gagan tum ko duā detī huuñ
Dūbte chāñd ke paañv meñ madhur saaz ho jab
dil meñ jhāñke jo kiran tum ko duā detī huuñ
sochtī rahtī huuñ tum ko hī biThā kar dil meñ
aisī jaagī hai lagan tum ko duā detī huuñ
vahshatoñ ne hī jalāyā hai 'diyā' terā badan
chāñd jaisā ho ye man tum ko duā detī huuñ
jab bhi ho mujh ko thakan tum ko dua deti hun
ghar ke kaamon mein magan tum ko dua deti hun
aisa lagta hai mohabbat ka KHuda hai us mein
dekhti hun jo gagan tum ko dua deti hun
Dubte chand ke panw mein madhur saz ho jab
dil mein jhanke jo kiran tum ko dua deti hun
sochti rahti hun tum ko hi biTha kar dil mein
aisi jagi hai lagan tum ko dua deti hun
wahshaton ne hi jalaya hai 'diya' tera badan
chand jaisa ho ye man tum ko dua deti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.