jab bhi hota hun main akele mein
jab bhī hotā huuñ maiñ akele meñ
ḳhud ko khotā huuñ maiñ akele meñ
fasl ugātā huuñ yuuñ hañsī key maiñ
ashk botā huuñ maiñ akele meñ
jo raTe naam bas tumhārā hī
aisā totā huuñ maiñ akele meñ
un kī yādoñ kā apnī aahoñ kā
bojh Dhotā huuñ maiñ akele meñ
raam mandir aur bābarī masjid
donoñ hotā huuñ maiñ akele meñ
jab bhi hota hun main akele mein
KHud ko khota hun main akele mein
fasl ugata hun yun hansi key main
ashk bota hun main akele mein
jo raTe nam bas tumhaara hi
aisa tota hun main akele mein
un ki yaadon ka apni aahon ka
bojh Dhota hun main akele mein
ram mandir aur babari masjid
donon hota hun main akele mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.