jab bhi hui tamir-e-nasheman barq-e-tapan tak baat gai
jab bhī huī ta.amīr-e-nasheman barq-e-tapāñ tak baat ga.ī
aag lagī jab shāḳh-e-chaman meñ apne makāñ tak baat ga.ī
zikr-e-lab-o-ruḳhsār se aksar TuuT gayā gulchīñ kā bharam
baat chalī thī ġhuncha-o-gul kī aur ḳhizāñ tak baat ga.ī
un ke gunāh-o-jurm-o-ḳhatā par qad-āvar ḳhāmosh rahe
ham se zarā sī chuuk huī to ḳhurd-o-kalāñ tak baat ga.ī
kaisī vafā.eñ kaisā va.ada kis kis par ilzām dhareñ
zikr chhiḌā jab shahr-e-sitam kā kū-e-butāñ tak baat ga.ī
māh-ruḳhoñ meñ charchā thā kal us kī jabīn-e-raushan kā
arz-o-samā se bāhar niklī kāhkashāñ tak baat ga.ī
jab bhi hui tamir-e-nasheman barq-e-tapan tak baat gai
aag lagi jab shaKH-e-chaman mein apne makan tak baat gai
zikr-e-lab-o-ruKHsar se aksar TuT gaya gulchin ka bharam
baat chali thi ghuncha-o-gul ki aur KHizan tak baat gai
un ke gunah-o-jurm-o-KHata par qad-awar KHamosh rahe
hum se zara si chuk hui to KHurd-o-kalan tak baat gai
kaisi wafaen kaisa wada kis kis par ilzam dharen
zikr chhiDa jab shahr-e-sitam ka ku-e-butan tak baat gai
mah-ruKHon mein charcha tha kal us ki jabin-e-raushan ka
arz-o-sama se bahar nikli kahkashan tak baat gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.