jab bhi kaghaz pe teri aankh ka likkha kajal
jab bhī kāġhaz pe tirī aañkh kā likkhā kājal
ashk ban kar mire alfāz se Tapkā kājal
apnī ḳhāmosh tamannāoñ kī khiḌkī kholo
tum bhī mahsūs karo apnā mahaktā kājal
pyaar ke diip jalātī hai havā.eñ jaise
yūñhī palkoñ pe chamaktā hai sunahrā kājal
jab siyāhī na mayassar ho qalam meñ jānāñ
mere ash.ār ko detā hai ujālā kājal
us kī āñkhoñ se Tapakte haiñ ujāle ghar meñ
shab ke māthe pe nazar aa.e chamaktā kājal
raat ghir jaatī hai 'afroz' añdheroñ meñ jab
apnī āñkhoñ meñ lagātī hai sahar kā kājal
jab bhi kaghaz pe teri aankh ka likkha kajal
ashk ban kar mere alfaz se Tapka kajal
apni KHamosh tamannaon ki khiDki kholo
tum bhi mahsus karo apna mahakta kajal
pyar ke dip jalati hai hawaen jaise
yunhi palkon pe chamakta hai sunahra kajal
jab siyahi na mayassar ho qalam mein jaanan
mere ashaar ko deta hai ujala kajal
us ki aankhon se Tapakte hain ujale ghar mein
shab ke mathe pe nazar aae chamakta kajal
raat ghir jati hai 'afroz' andheron mein jab
apni aankhon mein lagati hai sahar ka kajal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.