jab bhi kisi ka ahd-e-wafa yaad aa gaya
jab bhī kisī kā ahd-e-vafā yaad aa gayā
dil par paḌī vo choT ḳhudā yaad aa gayā
jab bhī salīb-o-dār kā qissa huā bayāñ
shahr-e-sitam kā mard-e-vafā yaad aa gayā
muddat ke baad un se mulāqāt kyā huī
ek ek harf ḳhud kā likhā yaad aa gayā
kyoñ chashm-e-nam haiñ aap mirī samt dekh kar
kyā rafta-rafta bujhtā diyā yaad aa gayā
bazm-e-suḳhan meñ jab bhī chalī fikr-o-fan kī baat
naamī ke saath saath humā yaad aa gayā
us paikar-e-jamāl ke aate hī bazm meñ
kaisā huā thā hashr bapā yaad aa gayā
maiñ bhuul kar bhī bhuul na paayā vo hādse
mar-mar ke kaise jiinā paḌā yaad aa gayā
dushvārī-e-hayāt se jab bhī milī najāt
maañ kā shafīq dast-e-duā yaad aa gayā
chheḌī hai 'shauq' mīThe tarannum meñ kyā ġhazal
ik shaḳhs mujh ko shīrīñ-navā yaad aa gayā
jab bhi kisi ka ahd-e-wafa yaad aa gaya
dil par paDi wo choT KHuda yaad aa gaya
jab bhi salib-o-dar ka qissa hua bayan
shahr-e-sitam ka mard-e-wafa yaad aa gaya
muddat ke baad un se mulaqat kya hui
ek ek harf KHud ka likha yaad aa gaya
kyon chashm-e-nam hain aap meri samt dekh kar
kya rafta-rafta bujhta diya yaad aa gaya
bazm-e-suKHan mein jab bhi chali fikr-o-fan ki baat
nami ke sath sath huma yaad aa gaya
us paikar-e-jamal ke aate hi bazm mein
kaisa hua tha hashr bapa yaad aa gaya
main bhul kar bhi bhul na paya wo hadse
mar-mar ke kaise jina paDa yaad aa gaya
dushwari-e-hayat se jab bhi mili najat
man ka shafiq dast-e-dua yaad aa gaya
chheDi hai 'shauq' miThe tarannum mein kya ghazal
ek shaKHs mujh ko shirin-nawa yaad aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.