jab bhi koi kitab likkhunga
jab bhī koī kitāb likkhūñgā
tere naam intisāb likkhūñgā
dil to kahtā nahīñ magar us ko
maslahat se janāb likkhūñgā
haath to chhoḌ gardish-e-daurāñ
us ke ḳhat kā javāb likkhūñgā
aa.ine par to merā zor nahīñ
maiñ tujhe lā-javāb likkhūñgā
terā haq hai tū jo kahe mujh ko
maiñ to tujh ko gulāb likkhūñgā
aa.egī jab basant-pūrnimā
maiñ kisī kā 'shabāb' likkhūñgā
jab bhi koi kitab likkhunga
tere nam intisab likkhunga
dil to kahta nahin magar us ko
maslahat se janab likkhunga
hath to chhoD gardish-e-dauran
us ke KHat ka jawab likkhunga
aaine par to mera zor nahin
main tujhe la-jawab likkhunga
tera haq hai tu jo kahe mujh ko
main to tujh ko gulab likkhunga
aaegi jab basant-purnima
main kisi ka 'shabab' likkhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.