jab bhi mahfil mein ahl-e-nazar aa gae
jab bhī mahfil meñ ahl-e-nazar aa ga.e
ham bhī le kar ġhazal pur-asar aa ga.e
ye siyāsat kī duniyā kā dastūr hai
jo the kal tak udhar vo idhar aa ga.e
zindagī us ko har taur āsāñ lage
jis ko jiine ke thoḌe hunar aa ga.e
dar-haqīqat jinheñ ham ne dekhā nahīñ
vo ḳhayāloñ meñ shām-o-sahar aa ga.e
har balā raah kī ḳhud-ba-ḳhud Tal ga.ī
paḌh ke nād-e-'alī muḳhtasar aa ga.e
ye shahādat mire ghar kī mīrās hai
jab zarūrat paḌī le ke sar aa ga.e
ham-qadam ho ga.iiñ jab bhī gumrāhiyāñ
un ke naqsh-e-kaf-e-pā nazar aa ga.e
mar na paa.e koī mulk meñ bhuuk se
vo 'adālat se le kar ḳhabar aa ga.e
jin kī lazzat meñ zahr-e-tamannā bhī hai
shāḳh-e-ehsās par vo samar aa ga.e
jo na aa.e the pahle tasavvur meñ bhī
ai 'kashish' aaj vo mere ghar aa ga.e
jab bhi mahfil mein ahl-e-nazar aa gae
hum bhi le kar ghazal pur-asar aa gae
ye siyasat ki duniya ka dastur hai
jo the kal tak udhar wo idhar aa gae
zindagi us ko har taur aasan lage
jis ko jine ke thoDe hunar aa gae
dar-haqiqat jinhen hum ne dekha nahin
wo KHayalon mein sham-o-sahar aa gae
har bala rah ki KHud-ba-KHud Tal gai
paDh ke nad-e-'ali muKHtasar aa gae
ye shahadat mere ghar ki miras hai
jab zarurat paDi le ke sar aa gae
ham-qadam ho gain jab bhi gumrahiyan
un ke naqsh-e-kaf-e-pa nazar aa gae
mar na pae koi mulk mein bhuk se
wo 'adalat se le kar KHabar aa gae
jin ki lazzat mein zahr-e-tamanna bhi hai
shaKH-e-ehsas par wo samar aa gae
jo na aae the pahle tasawwur mein bhi
ai 'kashish' aaj wo mere ghar aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.