jab bhi main KHud se ub jata hun
jab bhī maiñ ḳhud se uub jaatā huuñ
'mīr'-sāhib ko gungunātā huuñ
jhuuT kyuuñ sūiyāñ chubhotā hai
aañkh jab sach se maiñ churātā huuñ
vaar kartā huuñ jab ḳhalāoñ meñ
jhūmtā aur muskurātā huuñ
jab kabhī jī zarā sañbhaltā hai
kuchh na.e dard DhūñD laatā huuñ
ḳhvāb palkoñ pe ruk nahīñ paate
kaun aatā hai chauñk jaatā huuñ
roz mujh ko vo yaad aatā hai
roz maiñ ḳhud ko bhuul jaatā huuñ
āsmāñ tak uḌaan hai merī
maiñ bhalā kis ke haath aatā huuñ
jab bhi main KHud se ub jata hun
'mir'-sahib ko gungunata hun
jhuT kyun suiyan chubhota hai
aankh jab sach se main churaata hun
war karta hun jab KHalaon mein
jhumta aur muskuraata hun
jab kabhi ji zara sanbhalta hai
kuchh nae dard DhunD lata hun
KHwab palkon pe ruk nahin pate
kaun aata hai chaunk jata hun
roz mujh ko wo yaad aata hai
roz main KHud ko bhul jata hun
aasman tak uDan hai meri
main bhala kis ke hath aata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.