jab bhi mauzu’-e-suKHan apne asar tak pahunche
jab bhī mauzū’-e-suḳhan apne asar tak pahuñche
moḌ do baat agar tīr-o-tabar tak pahuñche
tazkira jab bhī chhiḌā gaañv ke chaupāloñ kā
dil ke ḳhvābīda ḳhayālāt bhī ghar tak pahuñche
ādmiyyat kī hai is daur meñ me'rāj yahī
us kī har jumbish-e-lab husn-e-nazar tak pahuñche
zindagī ek nahīñ laakh umīdoñ kā bharam
maut nā-kāmi-e-hālāt ke dar tak pahuñche
lauT aatā hai jahāñ jā ke ḳhayāloñ kā hujūm
shahr-e-bedād kī us rāhguzar tak pahuñche
baat niklī jo tire 'ahd-e-javānī kī kabhī
hausle gaañv kī ḳhvābīda Dagar tak pahuñche
sab to raahī haiñ usī rāhguzar ke 'bismil'
kis kī jur.at hai mirī gard-e-safar tak pahuñche
jab bhi mauzu’-e-suKHan apne asar tak pahunche
moD do baat agar tir-o-tabar tak pahunche
tazkira jab bhi chhiDa ganw ke chaupalon ka
dil ke KHwabida KHayalat bhi ghar tak pahunche
aadmiyyat ki hai is daur mein me'raj yahi
us ki har jumbish-e-lab husn-e-nazar tak pahunche
zindagi ek nahin lakh umidon ka bharam
maut na-kaami-e-haalat ke dar tak pahunche
lauT aata hai jahan ja ke KHayalon ka hujum
shahr-e-bedad ki us rahguzar tak pahunche
baat nikli jo tere 'ahd-e-jawani ki kabhi
hausle ganw ki KHwabida Dagar tak pahunche
sab to rahi hain usi rahguzar ke 'bismil'
kis ki jurat hai meri gard-e-safar tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.