jab bhi milne ke zamane aae
jab bhī milne ke zamāne aa.e
bad-gumānī meñ sulagte aa.e
kis ko ilzām-e-tabāhī deñ ham
ka.ī patthar ka.ī sho.ale aa.e
bhuul baiThe haiñ uḌāneñ apnī
ham tire haath meñ aise aa.e
un ke andāz meñ iġhmāz baḌhā
merī palkoñ pe sitāre aa.e
kitne barsoñ kā safar ḳhaak huā
us ne jab pūchhā ki kaise aa.e
jab bhi milne ke zamane aae
bad-gumani mein sulagte aae
kis ko ilzam-e-tabahi den hum
kai patthar kai shoale aae
bhul baiThe hain uDanen apni
hum tere hath mein aise aae
un ke andaz mein ighmaz baDha
meri palkon pe sitare aae
kitne barson ka safar KHak hua
us ne jab puchha ki kaise aae
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.