jab bhi palkon se teri band kiya darwaza
jab bhī palkoñ se tirī band kiyā darvāza
ek mauhūm sī dastak se khulā darvāza
Dar se dīvār pe ik 'aks ubhar kar aayā
jab tirī yaad ne dil par thā likhā darvāza
is qadar tund havā thī ki raqīboñ ne ai dost
chāk-dāman kī tarah band kiyā darvāza
kyoñ dilāsa na diyā tū ne mire girya-guzār
kyoñ mire siina pe rakh chhoḌ diyā darvāza
āfrīñ chashm-e-mohabbat pe maiñ is baar rafīq
'aks hote hue is baar jalā darvāza
dekh ab ġhaur se dekh aa ke mujhe mere 'nadīm'
maiñ huuñ dīvār meñ aur mujh meñ lagā darvāza
jab bhi palkon se teri band kiya darwaza
ek mauhum si dastak se khula darwaza
Dar se diwar pe ek 'aks ubhar kar aaya
jab teri yaad ne dil par tha likha darwaza
is qadar tund hawa thi ki raqibon ne ai dost
chaak-daman ki tarah band kiya darwaza
kyon dilasa na diya tu ne mere girya-guzar
kyon mere sina pe rakh chhoD diya darwaza
aafrin chashm-e-mohabbat pe main is bar rafiq
'aks hote hue is bar jala darwaza
dekh ab ghaur se dekh aa ke mujhe mere 'nadim'
main hun diwar mein aur mujh mein laga darwaza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.