jab bhī par phailātā huuñ
maiñ zad par aa jaatā huuñ
kahne ko huuñ ik misrā
khul jā.ūñ to dariyā huuñ
ab to ye bhī yaad nahīñ
kis kī khoj meñ niklā huuñ
tere hāthoñ ke sadqe
maiñ ab pāra-pāra huuñ
umr guzārī jis ke saath
us se hī an-jānā huuñ
jab bhi par phailata hun
main zad par aa jata hun
kahne ko hun ek misra
khul jaun to dariya hun
ab to ye bhi yaad nahin
kis ki khoj mein nikla hun
tere hathon ke sadqe
main ab para-para hun
umr guzari jis ke sath
us se hi an-jaana hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.